Dhoop se kab mili hai amaan der tak
Sar pe rehta nahin saybaan der tak
Maire qadmon main thi kehkashaan der tak
Har taraf sookhe patton ke ambaar hain
Kya chali hain yahan aandhiyan der tak
Manzilon par pohachne main sadyan lagin
Kya ruka tha kahin karwaan der tak
Ab kiwadon ki palken jhapakne ko hain
Raah takta tha kis ki makaan der tak
Koi masjid ki janib gaya hi nahin
Di moazzin ne yun to azaan der tak
Kuch na kuch jism ke aashiyane main hai
Yun hi girti nahin bijliyaan der tak
Kya haqeeqat banaya gaya khwab ko
Kyun sulagte rahe jism o jaan der tak
Kaisa Nauha padha tha kisi dasht ne
Raat rota raha asmaan der tak
Jis main kirdar koi hamara na tha
Woh sunai gai dastaan der tak
Raqs karte rahe dasht charon taraf
Nauha karti rahin bijliyan der tak
Sun rahe hain woh shakhen hi baqi nahin
Bethte the kabhi ham jahan der tak
Koi tabeer nikle na nikle magar
Dekhiye yun hi khwab e giraan der tak
Chikhti hai faseel e qafas aaj bhi
Kaun karta raha hai fughaan der tak
Koi mujhse khafa hai mri zaat main
Maire dil ko raha yeh gumaan der tak
Kaisi sham e talluq bujhi bazm main
“Dekhte hi rahe ham dhuaan der tak”
Dekh dhalta hua aftab e ghuroor
Kis ka qayam raha hai nishaan der tak
Qasr e zulm e sitamgar tri khair ho
Chashma e khoon rahe ga rawaan der tak
Bas ufuq par kahan surkhi e sham thi
Maira dil bhi raha khoon fishaan der tak
Tha ajab zor is bar tufaan ka
Raqs karte rahe badban der tak
(Wafa Naqvi)
0 comments: