GAZAL
BAHADUR SHAH ZAFAR
name:Muhammad
sirajuddin-bahadur shah
Takhallus: ZAFAR
(1862-1775)
Na kisi ki aankh ka
nor hoN na kisi ke dil ka qarar hoN
Jo kisi ke kam na
aasake main woe k mushte gubar hoN
Mera rang roop
bigadgaya mera yar mujh se bichad gaya
Jo chaman khizaN se
ojad gaya main isi ki fasle bahar hoN
Na to main kisi ka
habeb hoN na to me kisi ka raqeb hoN
Jo bigad gaya wo
naseb hoN jo ojad gaya wo diyar hoN
Paye fatiha koi aye
kyoN? Koi chad phol chadhaye kyoN
Koi aa ke shama
jalaye kyoN? main wo bekasi ka mazar hoN
Me nahiN hoN nagma
e janfira mujhe sun ke koi kare ga kya
Me bade brog ki hoN
sada me bade dokhi ki pokar hoN
0 comments: