Thursday, March 7, 2013

allama iqbal ki gazal


GAZAL
ALLAMA IQBAL
name:  Muhammad iqbal
Takhallos:   IQBAL  (1938-1877)
sitaroN se aage jahaN aur bhi haiN
abhi ishq ke imtihaN aur bhi haiN
tehi zindagi se nahiN ye fizaeN
yahaN senkdoN karwaN aur bhi haiN
qina at na kar aalam e rang o bu par
chaman aur bhi haiN aashiyaN aur bhi haiN
to shameN he parwaz he kam tera
tere samne aasmaN aur bhi haiN
isi roz o shab main olajh karr na rah ja
ke tere zaman o makaN aur bhi haiN
gaye din ke tanha tha main anjuman main
yahaN ab mere razdaN aur bhi haiN

0 comments: