Friday, March 29, 2013

aankhoN pe kya bithaya zameeN ka nahee raha

gazal

aankhoN pe kya bithaya zameeN ka nahee raha
nazroN se girgaya to kaheeN ka nahee raha
ek wo bhi waqt tha zabaN par the ham hi ham
ye kaisa waqt hai ke kaheeN ka naheeN raha

dar dar ki thokaroN ke siwa aur kya mila
jis ghar ka wo makeeN tha waheeN ka nahee raha

ek wo bhi marhala tha adawat diloN me thi
ab youN bhi hai ke silsila kaheeN ka nahee raha

jo shaks sirf dunya kamane me rehgaya
mazhar wo aasman o zameeN ka nahee raha


0 comments: