poet:sulaiman khateeb
tera jo zikr chid gaya aankh se ashk gir pade
daman e tar chuppaliya dedae tar ko kya kruN
sabr ka hukm khub hai lekin huzoor ye kaheN
soz e daruN ka kya bane dard e jigar ko kya karuN
tere bagair zindagi kitni udas hai meri
aise udas leke mai sham o seher ko kya karuN
sulaiman khateeb ke chand sanjeeda sher
ye kis ne mujh ko yarab zakhme jigar deye haiN
aankhoN ke do katori ashkoN se bhar deye haiN
ye khatra khata aansu ye bund bund shabnam
ek aag tan badan maiN kuch dhemi dhemi madham
ek dard metha metha reh reh ke uth raha hai
ek shama jal rahi hai kuch dhiere dhere paiham
zulmat kade me apne rue qamar nahe hai
furqat naseeb shab ki jaise seher naheeN
must read:
0 comments: