Friday, February 15, 2013

meer taqi meer ki ek gazal hazir e khidmat hai aap ke leye


Gazal:
Poet: mir taqi mir
(1724-1810)


Olti hogaeN sab tadbireN kuch na dawa ne kam kiya
Dekha is bimari e dil ne aakhir kam tamam kiya
Ahde jawani ro ro kata piri meN leN aankheN Mond
Yani rat bahut the jage subah hoi aaram kiya
Harf nahiN jaaN bakhshi meN is ki khubi apni qismat ki
Ham se jo pahle keh bheja so marne ka paigam kiya
Na haq ham majburo par ye tohmat he mukhtari ki
Chahte haiN so aap kareN haiN ham ko abas bad nam kiya
Sare rand awbash jahaN ke tujh se sojod me rahte he
Banke tedhe terche tekhe sab ka tujh ko imam kiya
Sar zad ham se be adbi to wahshat meN bhi kam hi hoi
Koso is ki aur gaee par sajdah har har gam kiya
Kis ka kabah kaisa qibla kon haram he kya ehram
Koche ke is ke bashindo ne sab ko yahiN se salam kiya
Shaikh jo he masjid meN nagga rat ko tha mekha ne meN
Jubbah khurqa kurta topi masti me inam kya
Kash ab burqa munh se otha de warna phir kya hasil he
Aankh mande par un ne go didar ko apnea am kiya
yaN ke saped o siyah me ham ko dakhal jo he so itna he
rat ko ro ro subah kiya ya din ko ju tu  sham kiya
subah chaman me is ko kaheN taklef hawa le aae thi
rukh se gul ko mol liya qamat se sar o gulam kiya
saed e semen dono N is ke hath me lakar chod diye
bhole is ke qol o qasam par hae khayal e kham kiya
kam hoe haiN sare zaee har sa`at ki samajat se
istegna ki chogni in ne joN joN meN ibram kiy
aise ahoe ram khurda ki wahshat khoni mushkil thi
sahar ke den o mazhab ko ab pochte kya ho in ne to

0 comments: