Sunday, February 17, 2013

hazrat hasrat mohani ki gazal hazir hai Chup ke chup ke rat din aansu bahana yad he


Gazal
Poet: Hasrat mohani
(1875-1951)
Chup ke chup ke rat din aansu bahana yad he
 Ham ko ab tak aashiqi ka wo zamana yad he
Ba hazaraN iztirab o sad hazaraN ishtiyaq
Tujh se wo pahle pahal dil ka lagana yad he
Bar bar othna usi janib nigah e shoq ka
Aur tera gurfe se aankheN ladana yad he
Tujh se kuch milte hi wo bebak hojana mera
Aur tera dantoN main wo ongli dabana yad he
Khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
Aur dopatte se tera wo monh chupana yad he
Jan kar sota tujhe wo qasd e pa bosi mera
Aur tera thukra ke sar wo muskurana yad he
Tujh ko jab tanha kabhi pana to az rahe lihaz
Hal e dil baton hi baton main jetana yad he
Gair ki nazaroN se bach kar sub ki marzi ke khilaf
Wo tera chori chupe ratoN ko aana yad he
Aagaya gar wasal ki shab bhi kahin zikr e firaq
Wo tera ro ro ke mujh ko bhi rolana yad he
Dopahar kid hop main mere bulane ke liye
Wo tera kothe pe nange pawoN aana yad he
Aaj tak nazroN main he wo suhbate raz o niyaz
Apna jana yad he tera bulana yad he
Mithi mithi cheed kar bateN nirali piyar ki
Zikr dushman ka wo baton odana yad he
Dekhna mujh ko jo bargushtah to so so naz se
Jab mena lena to phir khud rooth jana yad he
Chori chori ham se tum aakar mile the jis jagah
MuddateN guzreN par ab tak wo thikana yad he
Shoq maiN mahendi ke wo bedast o pa hona tera
Aur mera wo chedna wo gud gudana yad he
Bawajod e iddiae ittiqa hasrat mujhe
Aaj tak aahd e hawas ka wo fasana yad he

0 comments: