GAZAL
SHAKEB JALALI
NAME:SAYED
HASAN RRAZWI
Takhallus: SHKEB (1966-1934)
Morjha ke kali jhel main girte hoe bhi dekh
Soraj hoN mera rang magar din dhale bhi dekh
Kagaz ki katranoN ko bhi kehte haiN log phol
rangoN ka etibar hi kya soongh ke bhi dekh
aalam main jis ki dhom thi is shahkar par
demak ne jo likhe kabhi wo tabsare bhi dekh
to ne kaha na tha ke main kashti pe bojh hoN
aankhoN ko ab na dhanp! Mujhe dobte bhi dekh
to hi barhana pa nahiN is jalti reet par
talwoN main jo hawa ke haiN wo aable bhi dekh
bachti then jis ki rah main pholoN ki chadareN
ab is ki khak ghas ke
peroN tale bhi dekh
kya shakh ba samar he jo takta he farsh ko
nazreN otha Shakeeb! Kabhi samne bhi dekh