Saturday, March 16, 2013

GAZAL OF SAGIR SIDDIQI

GAZAL OF SAGIR SIDDIQI

GAZAL
SAGIR SIDDIQI
name: MUHAMMAD AKHTAR
Takhallus:    SAGIR   (1974-1928)
He dua yad magar harf e dua yad nahiN
Mere nagmat ko andaze nawa yad nahiN
Mai ne palkoN se dare yar pe dastak di he
Mai wo sael hoN jise koi sada yad nahiN
Mai ne jin ke liye rahoN main bichaya tha laho
Ham se kehte haiN wahi ahde wafa yad nahiN
Kaise bhar aaeN sare sham kisi ki aankheN
Kaise tharai charagoN ki ziya yad nahiN
Sairf dhondlaye sitaroN ki chamak dekhi he
Kab hoa kon hoa kis se khafa yad nahiN
Zindagi jabre mosalsal ki tarah kati he
Jane kis jurm ki pai he saza yad nahiN
Aawo ek sajdah kareN aalame mad hoshi main
Log kehte haiN ke Sagher ko khuda yad nahiN