Tuesday, March 15, 2016

Best urdu love shayari Selected Poets collection

Best Urdu Love Shayari

1-Ghazal By Nasir kazmi

sunata hai koi bhooli kahani
mehekte methe daryaon ka pani

yahan ek sheher tha sher e nigaran
na chodi waqt ne us ki nishani 

andheri shaam ke pardon me chup kar
kise roti hai chashmon ki rawani

Best urdu love shayari
Best urdu love shayari

2-Ghazal By Qais rampuri


Yun luti jins e wafa sheher ke bazaron me
jaise ghir jaye kaheen husn hawas karon me

zard chehron ko bhi shadab kaha karte hain
kaisa ehsah hai is daur ke fan karon me

is qadar garmiye halat ne jhulsaya hameen
kuch maza milne laga dard ke angaron me

kon aya hai yahan qais zara samjhado
lut gai dil ki dukan dil ke khareedaron me


3-Ghazal By Faiz ahmad Faiz


Donon jahan teri mohabbat me har ke
wo jaraha hai koi shab e gham guzar ke

viran hain maikade kham o saghar udaas hai
tum kya gaye ko rooth gaye din bahar ke

dunya ne teri yaad se begana kardiya 
tujh se bhi dil fareeb hain gham rozgar ke


4-Ghazal By Firaaq gorakhpur


sar me sauda bhi nahee dil me tamanna bhi nahee
lekin is tark e mohabbat ka bharosa bhi nahee

meherbani ko mohabbat nahee kehte aye dost
aah ab mujh se teri ranjish e beja bhi nahee

ek muddat se teri yaad ayi na ha meen
aur ham bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahee

aah ye majame ahbaab,ye bazm e khamoosh
aaj mehfil me firaq sukhan ara bhi nahee



5-Best Ghazal By Ameer qazalbash


log jis haal me marne ki dua karte hain
maine is haal me jene ki qasam khai hai

un se ab tark e talluq ka irada aur me
zindagi to mujhe kis mood pe le ayi hai

kon nawaqif e anjam e tabassum hai ameer
mere halat pe ye kis ko hansi ayi hai
Must Read:







Urdu Sher O Shayari Selected Poetry Of Famous Poets

Thursday, February 14, 2013

bahadur shah zafar ki gazal e mashhoor

bahadur shah zafar ki gazal e mashhoor
romantic poetry

na kisi ki aankh ka noor na kisi ke dil ka qarar huN
jo kisi ke kaam na aasake main wo mushte gubar huN

faiz ahmad faiz ke do pyare sher

faiz ahmad faiz ke do pyare sher
DonoN jahaN tiri mohabbat me har ke 
wo jaraha hai koi shab e gam guzar ke

weran haiN maikade kham w sagar udas haiN
vo kya gaya ke rooth gaye din bahar ke

Monday, February 11, 2013

naresh kumar shad ki urdu gazal 2

naresh kumar shad ki urdu gazal 2
naresh kumar shaad

tum nazar me agar samaoge
phir nazar bhi hame na aaoge

zindagi se fareb karte ho
sada lauho fareb khaoge

log kehte haiN tum bhi pete ho
ham to maneNge jab pilaoge

jab bhi paoge shad ko tanha