anwar masood Poetry in Urdu
Kisi ke kaan padti hai na cheeN meri Na ChaaN meri
sitam ke dhol bajte hain aur itna shor karte hain
hamar kheet sanjha hai magar taqseem hai aisi
ke sare mongre tere hain sari mooliyan meri hain
banere se koi bhi rabita nahee anwar
na main kavve ki sunta hun na kuch sunta hai kaaN meri
anwar masood mazahiya poetry |
masjid ka jo mike utha laye ho anwar
kya janiye kis waqt azan dene lage
urdu se ho kyun bezar
english se kyun itna pyar
chodo bhi ye ratta yaar
twinkle twinkle little star
jannat se nikala hameen gandum ki mehek ne
gundi hui gaihun me kahani hai hamari
roti se hamari ye raghbat hai anwar
ye non commitment to purani hai hamari
Mote sheshon kit naak par ainak
kaan me alaye samaat hai
mum men masnui ek batti si
chathe misre ki kya zaroorat hai
qita
kabhi hogaya muyassar kabhi na hua muyassar
sare aam kya kahun main ke ye raz ki hai baten
kabhi maine kash lagaya kabhi kash nahee lagya
isi kash makash me guzri meri zindagi ki raten