Thursday, May 16, 2013

tasleem niyazi ki urdu gazal

urdu gazal
urdu gazal by tasleem niyazi
gazal 
BE-CHAIN KAL THE TUM BHI SO KAHNE ME SHARM KIUN
JAGE NA RAT BHAR TOYE ANKHON PA WARM KIUN
KUCHH JAL RAHA HAI DIL KE NIHAN KHANE ME ZARUR
WARNA BADAN TUMHARA HAI IS DARJA GARM KIUN
YA RAB TERE JAHAN ME HAI KIUN IS QADAR TAZAD
US SANGDIL KE LAB HAIN GULON SE BHI NARM KIUN
MUJHKO MILA HAI SHOQ TO KIUN MU'TARIZ HAIN AP
KAHIE KE DI HAI APKO QUDRAT NE SHARM KIUN
TASLIM TERE SHAHR-E-SITAMGAR ME AJKAL
BAZAR-E-ILTIFAT-O-INAYAT HAI GARM KIUN
(Taslim Neyazi)
 

mohsin naqvi ke ek sher

urdu shayari
urdu sher by mohsin naqvi

mohsin naqvi 
me tere milne ku mojiza kehraha tha lekin
tere bichadne ka sanha bhi kamal guzra

Saturday, May 11, 2013

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal malik ezaz ain ki gazal





gazal 

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal
mairi raatoN k andhairy mayN sitary ki misaal

mujhy khawaboN mayN koi heer milli hi jab say
mayN ny sab chhor dia takhat hazarry ki misaal 

khood ko rakhta hi woh behty hovy darya ki tarah 
joo mujhy rakhta nahi saath kinaryy ki misall

aain pal bhar ka bharossa nahi karna us par 
zindgi hi he hawaooN myN ghabaary ki miisaal

MALIK AIZAZ AAIN

malik ezaz ain ka ek behtareen sher

sher of malik ezaz sahab
behtareen sher
   Dil uski yaad se gafil nahe hai
  ye istesna use hasil nahe hai